EGO--jiske paas hoti hain use khud hi pata nahi hoti ki uske paas hain,infact agar kabhi samne wala bol bhi de ki hey! tumme bahut ego hai firvi bichara manta kabhi nahi ki haan I do have an ego :) Buri is baat se nahi lagti ki kisime bahut ego hain and buri lagni bhi nahi chahiye because its a kind of natural or can say a personal thing/habit right! But buri to is baat pe lagti hain ki us insaan ko ego ke side effects ke bareme hi pata nahi hoti :D
And ajkal to log ekdin agar kuch acha karle to unme itni sari ego aajati hain ki samne wale ko value dena bhul jate hain, and jisse samne wala kahi na kahi weak feel karne lagta hain. Agar itni hi buri chij hain EGO to log ise apne paas rakhte hi kyu hain? Kya iske alawa hum kuch aur achi guun nahi swikaar sakte apneliye?
Mitti se...mitti pe...and wapas mitti me hi jaana hain..Tofir ghuuroor kis baat ka :)
Hume kabhi apne andar ego nahi laani chahiye. Ego tabhi janam leti hain ek insaan ke andar, jab wo insaan ek layak kaam yafir kuch achieve karta hai,haina! Jab ek insaan successful hota hain tabhi usme ego develop hoti hain. Matlab ek achi chij ke badle me ek buri chij wo apne andar le lete hain :)
Ego ke wajah se to aapne jo ache kaam kiye abtak uski bhi value zero hojati hain, to ek esi chij jisse apki lifetime achievement ki value hi kam hojaye, wo accept hi kyu karna.
So humesha try to judge your behaviour and keep monitoring yourself ki kahi aap me ego ya fir esi koi bhi negative chije to develop nahi ho rahi na. Hum perfect to nahi ban sakte but 'near to perfect' to banne ki kosish jarur kar sakte hain and is kosish wali chain reaction se baaki kayi aur log bhi near to perfect banne me jut jayenge. Ap jo change dekhna chahte ho society and logo me, ap jo expect karte ho logo se,wosab chije pehle khud aap karna sikhe,tab na hogi humari happy wali Dear Zindigi :)
"Some little pieces of sand are so full of ego that they see themselves as giant rock! But then the wind blows, the big EGO flies in the air :) "
Be-aware of EGO
Keep spreading happiness
No comments:
Post a Comment